Guzaarish

Aa jao
dekho sooraj dhalkar laut aaye panchhi
raat ho gayi
dekho nikal aaye tare
so nahi sakte hum
intezaar hai tumhara
laut aao, ab toh

 Chaar deewari hai, par ghar nahi
daulat hai par khushi nahi
sur hai par awaaz nahi
baaton ka matlab nahi
Sab kuch hokar bhi
kuch nahi...

Aa jao
lauta do sab kuch
lauta do humari dhadkan
jo uda karti thi panchhi ki tarah
lauta do woh ankaha rishta
jo baandha tha tumse
lauta do humara dil
jo le gaye the tum
is samay uski sakht zaroorat hai.

Dekho raat ho gayi
nikal aaye taare
ek ek karke saare diye bujh gaye
ab sirf ek chaand hai humsafar
tum toh kab ke akele hi chal diye.
Mitti toh insaanon mein farak nahi karti
saans tootne ke baad
wahi mil jayenge hum aur tum.

Tumhari aankhein hai
jin mein meri parchhai nahi.
Meri dhundhli aankhein hai
jin mein tumhare alava
aur kisi ki parchhai nahi.

Khidki hai
par koodna nahi chahte.
Zindagi hai
jo jeena nahi chahte.

 Aag hai jiska dhuaan nikalta nahi
….aur bina maut aaye
bina chikhe chillaye
apne dard mein samaye
paagal patanga jala ja raha hai.

 Aa jao
dekho akele hai hum
aur so nahi sakte
intezaar hai tumhara
laut aao, ab toh...

4 handprints on my wall:

Huzie said...

this one was awesomely wonderful...truly touched my heart! :)

Uma said...

thank you thank you :)

Drama Queen said...

Awwww! =D

Uma said...

thanks adi :)this was quite an easy write :)

Post a Comment