and I rant again

mere hisse ka aasman
dikhta hai mujhe is chauras khidki se
aur mera apna kehlane wala
woh ek tara hai wahaan
jiski timtim mujhse kehti hai
ki chain se so jao, sab theek hai
koi fikar na karo
lekin mujhe talaash hai
ek jeete jaagte taare ki
....kya tum hi ho wohi?


mere hisse ki baarish
sirf mera chehra hi nahi
meri rooh bhi bhigoti hai
aur main ismein aur apne aansuon mein
farak nahi kar sakti
....kya tum kar sakte ho?


mere hisse ki tooti-phooti yaadein
khandhar ki tarah hai
sookhe patton ki tarah
inhe bhi todkar phenkna chahiye, na?


....lekin patton ke bina ped
ped kehlata nahi
sirf yaadein bachi ho agar
to unke bina jeena
mujhe aata nahi

0 handprints on my wall:

Post a Comment