Chiyasath saal ho chuke
Hum azaad hain
Laal batti jal kar bhi kare andhera
bahu-betiyon ke ird-gird ghoonghat ka ghera
....hum azaad hain
Veerane raste ko taakte hue
jab hum gadayein ghadi par aankhein
uski nazar hum par hai
katra katra humare kapdon ke cheethde karte hue
izzat ki dhajjiyan udate hue
katra katra
....kabhi aakar dekho iss ore
humein kafan mile ya doodh ki haandi
kisi ko parvaah nahi
Humare nanhe se badan ko
andar hi andar na maaro
paalna nahi chahte
toh paida na karo
Mohabbat karte hain dar dar ke
Khushiyan lutaate hain bhar bhar ke
...hum azaad hai
Sadkon par chalte hain, aaj bhi dar dar ke
Lut jaaye jab humari izzat
toh taane sunte hain bhar bhar ke
Ho chuke chiyasath saal
....wakai, hum hai azaad
0 handprints on my wall:
Post a Comment